Wednesday, July 28, 2010

University days....

kal ke din ke baad jab aaj subah main Yunivrsity ke liye tyar ho rha tha, mera cousin rajasthan se mere paas aaya. saath me unki mom bhi thi. and he is suffring with a dangrous disese. kaafi jagah check karwane or medicine lene k baad jab use koi aaraam nahi mila to meri mom ne unhe sirsa aane ke liye kaha tha. or vo aaj aaye. mujhe use dekh ke khushi bhi hui or thoda dukh bhi. vo is liye k main use kaafi time baad may be 6-7 saal ke baad mil rha tha. and dukh is liye ki vo physically bahut hi veek ho gya tha. bahut dukh hua uski aisi haalt dekh kar. subah 9 bje doctor se time liya hua tha. main uske saath hospital gya or waha pahucha to khushnaseeb tha ki itne zyada log nahi the. jaate hi doctor se mil kar hmne unse bimari k baare me baat ki, doctor ne kuch test or xrays bole.hum wha se ye test karne wale room me gye wha kaafi log the, but uparwaale ki rza se hmara no. jaldi aaya or uske sample le liye gye, sample dene k baad jab hum xray k liye room me gye to wha bhi doosra koi patient nhi tha. mera bhai andar xray karwane gya n bahar main chair par baitha tha tabi hmari family ke kuch senior members wha aa gye n they tell me if want to go, then u.. i says ok. or main unhe thoda hospital ke baare me or doctor ke baare me bta kar wha se university ke liye nikal liya.
university me aaj bantu or nindu bhi aaye hue the, bantu ke baad nindu ka call aaya to main sirsa city me tha. jaise hi university pahuncha dono mujhe campus me hi mile. vikas sir period le rhe the or ab bari krishan sir ki thi. jaise vikas sir ka period off hua hum claas me gye and krishan sir asusual apne style me padha rhe the. aaj kuch acha sa lga kuch kaam ki baaten hui. period off hone k baad hum log bahar gedi laga rhe the tabi krishan sir aaye or mujhe bole chal kuch kaam h, kahi chalna h. maine bike start ki or krishan sir ke saath ek gedi par nikal gya. agli class chouhan sir ki thi aaj bhi main late hi pahuncha main nahi hum teeno hi late the. class me enter hue but ye kya the teen reh gye do....? saala nindu fattu itne computer ek saath dekh kar bhaag gya... computer class k baad 2 bje hum log ghar ki or nikal gye. or is tarah mera university ka doosra din bhi complete ho gya... AAmin..